Analysis of information sources in references of the Wikipedia article "Bismil Saeedi" in English language version.
"Bismil e ghazal"::Kal shaam naagahaan sar e raah mil gaii mujhe :Fitane qadam qadam pe jagaatii huii ghazal :Poochhaa ki aaj paae safar kaa hai rukh kidhar :Bolii nazar jhukaa ke, lajjaatii huii ghazal: :Kahatii hoon dil kii baat jo phaelii hai shahar mein :Pardah hi uth gayaa hai to tujh se chhupaaoon kyaa :Mahboobaa jis kii hoon, miraa mahboob hai vahii :Soda hai kis dayaar kaa sar mein, bataaoon kyaa :Garamii hai bazm e sh'er mein jis kii nawaaon se :Mere khadang e naaz kaa bismil vahii to hai :Sargardaan koo ba koo hoon main jis kii talaash mein :Dilbar miraa vahii, miri manzil vahii to hai